Sunday, January 1, 2012

Padav

 
 Tu mukadar nahi tha mera,
 tu to raste ka padav tha,
 ek pal rukane ka aashara tha,
 apni thakan mitane ka jariya tha,
 ab to fir nikalana h usi manjil per,
 usi raste ko pagdandi banana tha,
 fir nai badhao se ladana tha,
 fir koi naya sathi agale padav tak,
 yuhi jindagi ka safar katana tha,
 or is safar me fir koi naya
 padav milna tha..........per
 vo manjil nahi meri vo to
 bas ek padav tha.........
 Tu mukadar nahi tha mera,
 tu to raste ka padav tha.

No comments:

Post a Comment